Tuesday, December 19, 2006

Dil mey Baba ka pyar hai

Dil mey Baba ka pyar hai
karm mey unhi ke gun
mann mey aat shakti bhare
buddhi mey behad ka Gyan
sanskar banaya sato pradhan

tan hai bap ki seva mey
mann hai bap ki yaad mey
dhan jo seva mey safal hai
swasho shwas hum Baba ke aur
Sankalp mey sirf Baba hamare

nasha hamara saya banaya
khazane bhandare mey bharpur hai
trikaldharshi divya drishti sey
chakravarti Maharaja banaya
drama ka behadh part hai

daivi swarajdhani keliye
Baba ne hamko chuna hai.

Aur kiski intezaar hai?

woh pyar ki drishti jo duniya buladethi
woh dil ka takt jo dil ko udaathi
woh palko ki palna jo bigdi ko banathi
woh bhagwan ka haath jo pal pal saath rehti
Hey yahi purshard aur kiski intezaar hai?

humsey dhoor kaisey rahe?

Pyare BapDada aarahe hai apne Vatan sey
Mangal Milan mey Bachon ko sakar me pyar karne
Dill gadh gadh hokar ke tarasraha hai
Baba itne hazar varsh humsey dhoor kaisey rahe?

Bhagwan Mila Jahaan paliya

Aisa Sathi mila jiska saathi swayam Brahma hai.
Vishwa ka Malik banake hi chodneka jisne teka uthaya hai,
Palkon par sulake dil halka kardethey hai,
Dilme bitakar pyar sey samjhatey hai,
Haath pakadke hume zindagi ki raahon ka raaz dikhatey,
socha tho paya ki jo pana tha so paliya.....
Aur kya chahiye? Bass Bhagwan Mila Jahaan paliya.